ajiib manzar hai bārishoñ kā makān paanī meñ bah rahā hai
falak zamīñ kī hudūd meñ hai nishān paanī meñ bah rahā hai
tamām fasleñ ujaḌ chukī haiñ na hal bachā hai na bail baaqī
kisān girvī rakhā huā hai lagān paanī meñ bah rahā hai
azaab utrā to paañv sab ke zamīñ kī sat.hoñ se aa lage haiñ
havā ke ghar meñ nahīñ hai koī machān paanī meñ bah rahā hai
koī kisī ko nahīñ bachātā sab apnī ḳhātir hī tairte haiñ
ye din qayāmat kā din ho jaise jahān paanī meñ bah rahā hai
udaas āñkhoñ ke bādaloñ ne diloñ ke gard-o-ġhubār dho.e
yaqīn patthar banā khaḌā hai gumān paanī meñ bah rahā hai