dhuup se bar-sar-e-paikār kiyā hai maiñ ne
apne hī jism ko dīvār kiyā hai maiñ ne
jab bhī sailāb mire sar kī taraf aayā hai
apne hāthoñ ko hī patvār kiyā hai maiñ ne
jo parinde mirī āñkhoñ se nikal bhāge the
un ko lafzoñ meñ giraftār kiyā hai maiñ ne
pahle ik shahr tirī yaad se ābād kiyā
phir usī shahr ko mismār kiyā hai maiñ ne
bār-hā gul se jalāyā hai gulistānoñ ko
bār-hā aag ko gulzār kiyā hai maiñ ne
jāntā huuñ mujhe maslūb kiyā jā.egā
ḳhud ko sach kah ke gunahgār kiyā hai maiñ ne