kuchh is tarah se mileñ ham ki baat rah jaa.e
bichhaḌ bhī jaa.eñ to hāthoñ meñ haat rah jaa.e
ab is ke ba.ad kā mausam hai sardiyoñ vaalā
tire badan kā koī lams saath rah jaa.e
maiñ so rahā huuñ tire ḳhvāb dekhne ke liye
ye aarzū hai ki āñkhoñ meñ raat rah jaa.e
maiñ Duub jā.ūñ samundar kī tez lahroñ meñ
kināre rakkhī huī kā.enāt rah jaa.e
'shakīl' mujh ko sameTe koī zamāne tak
bikhar ke chāroñ taraf merī zaat rah jaa.e