ab is se milne kī ummīd kyā gumāñ bhī nahīñ
zamīñ ga.ī to ga.ī sar pe āsmāñ bhī nahīñ
bujhā bujhā sā hai dil kā alaav barsoñ se
kisī kī yaad kā āñkhoñ meñ ab dhuāñ bhī nahīñ
na.ī sadī ke safar meñ bhī ham akele haiñ
havā ke dosh pe ḳhushbū kā kārvāñ bhī nahīñ
tumhīñ batāo yahāñ kis tarah ji.eñ ham log
tumhāre shahar meñ ġhazloñ kī ik dukāñ bhī nahīñ
gharoñ meñ sahm ke baiThe hue haiñ sab bachche
samundaroñ pe kahīñ ret kā makāñ bhī nahīñ
is ehtiyāt se āñkhoñ meñ kaun aayā thā
subūt ke liye palkoñ pe ik nishāñ bhī nahīñ
ik aise raaz kī mānind jī rahā huuñ 'shakīl'
ki jis kā mere sivā koī rāz-dāñ bhī nahīñ