dard meñ shiddat-e-ehsās nahīñ thī pahle
zindagī raam kā ban-bās nahīñ thī pahle
ham bhī sau jaate the ma.asūm farishtoñ kī tarah
aur ye raat bhī hassās nahīñ thī pahle
ham ne is baar tujhe jism se haT kar sochā
shā.irī ruuh kī akkās nahīñ thī pahle
terī furqat hī udāsī kā sabab hai ab ke
terī qurbat bhī hameñ raas nahīñ thī pahle
terī āñkhoñ ne kahīñ kā nahīñ rakhā ham ko
itnī shiddat kī hameñ pyaas nahīñ thī pahle
raah chalte hue ham muḌ ke nahīñ dekhte the
rāste meñ tirī bū-bās nahīñ thī pahle