mushkil ko zarā chhoḌ ke āsān ke baare
kuchh soch mirī tañgī-e-dāmān ke baare
ik tere bulāve pe bahal jaatā hai varna
ma.alūm hai mujh ko dil-e-nādān ke baare
āġhāz-e-mohabbat meñ tavakkul hai zarūrī
mat soch kisī fā.eda nuqsān ke baare
is shahr meñ har shaḳhs ko sone kī paḌī hai
hālāñki batāyā bhī hai tūfān ke baare
is bastī-e-ḳhush-āb kī pur-kaif fazā.eñ
kab sochne detī haiñ paristān ke baare
khone kī tujhe mujh ko vahī fikr hai lāhiq
hotī hai musāfir ko jo sāmān ke baare
'ājiz' tirī duniyā ke ye insān ajab haiñ
insān ko bahkāte haiñ yazdān ke baare