Shakeel Azmi

akele rahne ki KHud hi saza qubul ki hai

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
akele rahne kī ḳhud hī sazā qubūl kī hai
ye ham ne ishq kiyā hai yā koī bhuul kī hai
ḳhayāl aayā hai ab rāsta badal leñge
abhī talak to bahut zindagī fuzūl kī hai
ḳhudā kare ki ye paudā zamīñ kā ho jaa.e
ki aarzū mire āñgan ko ek phuul kī hai
na jaane kaun sā lamha mire qarār kā hai
na jaane kaun sī saa.at tire husūl kī hai
na jaane kaun sā chehra mirī kitāb kā hai
na jaane kaun sī sūrat tire nuzūl kī hai
jinheñ ḳhayāl ho āñkhoñ kā lauT jaa.eñ vo
ab is ke ba.ad hukūmat safar meñ dhuul kī hai
ye shohrateñ hameñ yūñhī nahīñ milī haiñ 'shakīl'
ġhazal ne ham se bhī bahut vasūl kī hai
Top Urdushayar.com