chaḌhā huā hai jo dariyā utarne vaalā hai
ab is kahānī kā kirdār marne vaalā hai
ye āgahī hai kisī hādse ke aamad kī
badan kā saarā asāsa bikharne vaalā hai
zarā sī der meñ zanjīr TuuT jā.egī
junūn apnī hadoñ se guzarne vaalā hai
sunā hai shahar meñ aayā hai jādū-gar koī
tamām shahr ko tasvīr karne vaalā hai
tamām shahr banāyā gayā hai ā.īna
ye aaj kis kā sarāpā sañvarne vaalā hai
'shakīl' ham se kisī ko shikāyateñ haiñ bahut
chalo koī to hameñ pyaar karne vaalā hai