paroñ ko khol zamāna uḌaan dekhtā hai
zamīñ pe baiTh ke kyā āsmān dekhtā hai
milā hai husn to is husn kī hifāzat kar
sambhal ke chal tujhe saarā jahān dekhtā hai
kanīz ho koī yā koī shāhzādī ho
jo ishq kartā hai kab ḳhāndān dekhtā hai
ghaTā.eñ uThtī haiñ barsāt hone lagtī hai
jab aañkh bhar ke falak ko kisān dekhtā hai
yahī vo shahr jo mere laboñ se boltā thā
yahī vo shahr jo merī zabān dekhtā hai
maiñ jab makān ke bāhar qadam nikāltā huuñ
ajab nigāh se mujh ko makān dekhtā hai