nadī kā aab diyā hai to kuchh bahāv bhī de
mirī ġhazal ko nayā-pan bhī de rachāv bhī de
chalā ke sard havā mujh ko munjamid bhī kar
pighal ke phailnā chāhūñ to ik alaav bhī de
ki jis ke dard kā ehsās tere jaisā ho
kabhī kabhī mirī fitrat ko aisā ghaav bhī de
azāb-e-sail-e-musalsal jo de rahā hai mujhe
to sat.h-e-āb pe chalne ko ek naav bhī de
musāfirat ke ka.ī marhale tamām hue
ki merī ḳhāna-badoshī ko ab paḌāv bhī de