Shakeel Azmi

phul khila de shaKHon par peDon ko phal de malik

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
phuul khilā de shāḳhoñ par peḌoñ ko phal de mālik
dhartī jitnī pyāsī hai utnā to jal de mālik
kohrā kohrā sardī hai kaañp rahā hai puurā gaañv
din ko taptā sūraj de raat ko kambal de mālik
bailoñ ko ik gaThrī ghaas insānoñ ko do roTī
khetoñ ko bhar gehūñ se kāñdhoñ ko hal de mālik
vaqt baḌā dukh-dā.ik hai paapī hai sansār bahut
nirdhan ko dhanvān banā durbal ko bal de mālik
haath sabhī ke kaale haiñ nazreñ sab kī piilī haiñ
siina Dhāñp dupaTTe se sar ko āñchal de mālik
kal ko aaj se bāñdhe rakh aaj ko kal se joḌe rakh
jab tak khel-tamāsha hai piir ko mañgal de mālik
Top Urdushayar.com