chāñd meñ Dhalne sitāroñ meñ nikalne ke liye
maiñ to sūraj huuñ bujhūñgā bhī to jalne ke liye
manzilo tum hī kuchh aage kī taraf baḌh jaao
rāsta kam hai mire paañv ko chalne ke liye
zindagī apne savāroñ ko girātī jab hai
ek mauqā bhī nahīñ detī sambhalne ke liye
maiñ vo mausam jo abhī Thiik se chhāyā bhī nahīñ
sāzisheñ hone lagīñ mujh ko badalne ke liye
vo tirī yaad ke shole hoñ ki ehsās mire
kuchh na kuchh aag zarūrī hai pighalne ke liye
ye bahāna tire dīdār kī ḳhvāhish kā hai
ham jo aate haiñ idhar roz Tahalne ke liye
aañkh bechain tirī ek jhalak kī ḳhātir
dil huā jaatā hai betāb machalne ke liye