Shakeel Azmi

ek suraKH sa kashti mein hua chahta hai

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
ek surāḳh sā kashtī meñ huā chāhtā hai
sab asāsa mirā paanī meñ bahā chāhtā hai
mujh ko bikhrāyā gayā aur sameTā bhī gayā
jaane ab kyā mirī miTTī se ḳhudā chāhtā hai
Tahniyāñ ḳhushk huiiñ jhaḌ ga.e patte saare
phir bhī sūraj mire paude kā bhalā chāhtā hai
TuuT jaatā huuñ maiñ har roz marammat kar ke
aur ghar hai ki mire sar pe girā chāhtā hai
sirf maiñ hī nahīñ sab Darte haiñ tanhā.ī se
tīrgī raushnī vīrāna sadā chāhtā hai
din safar kar chukā ab raat kī baarī hai 'shakīl'
niind aane ko hai darvāza lagā chāhtā hai
Top Urdushayar.com