zamāne bhar kā jo saarā dukh hai hamārā dukh hai
yaqīñ karo jo tumhārā dukh hai hamārā dukh hai
ye saarī duniyā hamāre dukh se bharī paḌī hai
ye chāñd sūraj sitāra dukh hai hamārā dukh hai
tumhārī nisbat se hī jo mujh ko milā huā hai
ye hijr bhī kitnā pyārā dukh hai hamārā dukh hai
ye duniyā goyā hai ek building pe kaam jaarī
hai us meñ shāmil jo gaarā dukh hai hamārā dukh hai
dukhoñ kā koī bhī isti.āra nahīñ hai mumkin
dukhoñ kā har isti.āra dukh hai hamārā dukh hai
hamārī duniyā hai ek dariyā ke jaisī 'ājiz'
vo jis kā har ik kinārā dukh hai hamārā dukh hai