Shakeel Azmi

hua na KHatm azabon ka silsila ab tak

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
huā na ḳhatm azāboñ kā silsila ab tak
ḳhizāñ kī zad meñ bhī ik phuul hai harā ab tak
milā thā zahr jo virse meñ pī rahe haiñ ham
na us ne sulh kī sochī na maiñ jhukā ab tak
ye sach hai vahm ke daldal se lauT aayā huuñ
magar yaqīn kā dhuñdlā hai aa.ina ab tak
inhī ġhamoñ kā vo ik din hisāb māñgegā
falak se jo mire kashkol meñ paḌā ab tak
abhī abhī mirī āñkhoñ ne kho diyā us ko
vo dard ban ke mirī siskiyoñ meñ thā ab tak
na jaane kitnī balī dī hai rat-jagoñ kī use
magar milā na vo ḳhvāboñ kā devtā ab tak
judā huī thī jahāñ mil ke zindagī ik din
bhaTak rahī hai vahīñ merī aatmā ab tak
Top Urdushayar.com