dhuāñ dhuāñ hai fazā raushnī bahut kam hai
sabhī se pyaar karo zindagī bahut kam hai
maqām jis kā farishtoñ se bhī ziyāda thā
hamārī zaat meñ vo aadmī bahut kam hai
hamāre gaañv meñ patthar bhī royā karte the
yahāñ to phuul meñ bhī tāzgī bahut kam hai
jahāñ hai pyaas vahāñ sab gilās ḳhālī haiñ
jahāñ nadī hai vahāñ tishnagī bahut kam hai
ye mausamoñ kā nagar hai yahāñ ke logoñ meñ
havas ziyāda hai aur āshiqī bahut kam hai
tum āsmān pe jaanā to chāñd se kahnā
jahāñ pe ham haiñ vahāñ chāndnī bahut kam hai
barat rahā huuñ maiñ lafzoñ ko iḳhtisār ke saath
ziyāda likhnā hai aur Diary bahut kam hai