kahīñ se chāñd kahīñ se qutub-numā niklā
qadam jo ghar se nikālā to rāsta niklā
jalāyā dhuup meñ ḳhud ko to ek saaya sā
hamāre jism kī dīvār se lagā niklā
tamām-umr bhaTaktā rahā maiñ tere liye
tirā vajūd hī hastī kā mudda.ā niklā
tumhārī āñkhoñ meñ sadiyoñ kī pyaas Duub ga.ī
hamārī ruuh se ehsās-e-karbalā niklā
gurez karne lagā hai tire ḳhayāl se bhī
hamārā dil bhī tirī tarah bevafā niklā
mirā hī naam kabhī 'mīr' thā ġhazal vaalo
na.e safar meñ bhī merā hī naqsh-e-pā niklā
charāġh ghar meñ jalā chhoḌ kar ga.e the 'shakīl'
safar se lauTe to sab kuchh bujhā bujhā niklā