Shakeel Azmi

baat se baat ki gahrai chali jati hai

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
baat se baat kī gahrā.ī chalī jaatī hai
jhuuT aa jaa.e to sachchā.ī chalī jaatī hai
raat bhar jāgte rahne kā amal Thiik nahīñ
chāñd ke ishq meñ bīnā.ī chalī jaatī hai
maiñ ne is shahr ko dekhā bhī nahīñ jī bhar ke
aur tabī.at hai ki ghabrā.ī chalī jaatī hai
kuchh dinoñ ke liye manzar se agar haT jaao
zindagī bhar kī shanāsā.ī chalī jaatī hai
pyaar ke giit havāoñ meñ sune jaate haiñ
daf bajātī huī rusvā.ī chalī jaatī hai
chhap se girtī hai koī chiiz ruke paanī meñ
duur tak phaTtī huī kaa.ī chalī jaatī hai
mast kartī hai mujhe apne lahū kī ḳhushbū
zaḳhm sab khol ke purvā.ī chalī jaatī hai
dar o dīvār pe chehre se ubhar aate haiñ
jism bantī huī tanhā.ī chalī jaatī hai
Top Urdushayar.com