mujh pe haiñ saikḌoñ ilzām mire saath na chal
tū bhī ho jā.egā badnām mire saath na chal
tū na.ī subah ke sūraj kī hai ujlī sī kiran
maiñ huuñ ik dhuul bharī shaam mire saath na chal
apnī ḳhushiyāñ mire ālām se mansūb na kar
mujh se mat maañg mirā naam mire saath na chal
tū bhī kho jā.egī Tapke hue aañsū kī tarah
dekh ai gardish-e-ayyām mire saath na chal
merī dīvār ko tū kitnā sambhālegā 'shakīl'
TūTtā rahtā huuñ har gaam mire saath na chal