Shakeel Azmi

phul ka shaKH pe aana bhi bura lagta hai

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
phuul kā shāḳh pe aanā bhī burā lagtā hai
tū nahīñ hai to zamāna bhī burā lagtā hai
uub jaatā huuñ ḳhamoshī se bhī kuchh der ke baad
der tak shor machānā bhī burā lagtā hai
itnā khoyā huā rahtā huuñ ḳhayāloñ meñ tire
paas mere tirā aanā bhī burā lagtā hai
zā.iqa jism kā āñkhoñ meñ simaT aayā hai
ab tujhe haath lagānā bhī burā lagtā hai
maiñ ne rote hue dekhā hai alī baabā ko
baaz auqāt ḳhazāna bhī burā lagtā hai
ab bichhaḌ jā ki bahut der se ham saath meñ haiñ
peT bhar jaa.e to khānā bhī burā lagtā hai
Top Urdushayar.com