īqān ke hamrāh kuchh auhām paḌe the
ham un kī galī meñ jo sar-e-shām paḌe the
maiñ maan nahīñ paayā magar dekh rahā thā
us shaḳhs kī chaukhaT pe dar-o-bām paḌe the
maiñ ek sadī ba.ad kā ġham dekh rahā thā
aur saath hī din raat ke ālām paḌe the
lākhoñ meñ chunā ham ne usī ek ko varna
piine ko to mahfil meñ ka.ī jaam paḌe the
sarkār se pahle thā ajab naqsha jahāñ kā
masjid thī kahīñ devī kahīñ raam paḌe the
'ājiz' ko baḌā maan hai un sheroñ pe jānāñ
jo tere tavassut se zad-e-ām paḌe the