duā.eñ kījiye ġhunchoñ ke muskurāne kī
abhī umiid hai baaqī bahār aane kī
maiñ jin kā dil meñ tasavvur sajā.e rakhtā huuñ
koī to raah mile un tak aane jaane kī
talāsh ḳhud hī maiñ kar lūñgā aap ke ghar ko
na dūñgā aap ko zahmat maiñ ghar pe aane kī
baġhair us ke mujhe niiñd kaise aa.egī
duā.eñ dete ho tum kyuuñ mujhe sulāne kī
vo naġhme sañg ko bhī kar deñ mom jo 'sāhil'
hameñ to aaj bhī aadat hai gungunāne kī