bas dikhā de rāh-e-mai-ḳhāna koī
le chale yā sū-e-vīrāna koī
kyā milā farzānoñ meñ rah kar mujhe
un se to behtar hai dīvāna koī
rah-guzār-e-shauq kā hai ye karam
ho gayā apnā hī begāna koī
aaj ke hālāt par likkhūñ to kyā
gar likhūñ samjhoge afsāna koī
maiñ huuñ aur tanhā.iyoñ kā dasht hai
dard ko mere nahīñ jaanā koī
maiñ ne bhī sīkhā hai duniyā se bahut
sīkhe mujh se bhī to ġham khānā koī
kahte haiñ 'sāhil' se aksar mehrbāñ
hai ġhazal yā harf-e-rindāna koī