Zoya Sheikh

kabhi KHwahish jo is dil ki purani chiKH paDti hai

Zoya Sheikh

Lakhimpur Kheri, Uttar pradesh, India

1992
kabhī ḳhvāhish jo is dil kī purānī chīḳh paḌtī hai
to phir āñkhoñ meñ ik Dorī gulābī chīḳh paḌtī hai
lagā kar zaḳhm par pahre sulā ke dil ke saare ġham
maiñ jab bhī hañsnā chāhūñ to udāsī chīḳh paḌtī hai
mirī alhaḌ javāñ zulfoñ ko abyaz dekh kar logoñ
buzurgī muskurātī hai javānī chīḳh paḌtī hai
raqam jab bhī maiñ apnā dard kartī huuñ qalam se to
varaq mātam manāte haiñ siyāhī chīḳh paḌtī hai
taḳhallus achchhī laḌkī kā mujhe jab 'zoyā' miltā hai
mire andar dabī phir har ḳharābī chīḳh paḌtī hai
Top Urdushayar.com