Shahnawaz Zaidi

mez pe chehra zulfen kaghaz par

Shahnawaz Zaidi

mez pe chehrā zulfeñ kāġhaz par
dekh rahā hai hairat se daftar
chehre par shikva kartī āñkheñ
āñkhoñ meñ aadhā ḳhālī sāġhar
gaal pe tiin lakīreñ aañsū kī
kānoñ meñ hiire ke do kañkar
bātoñ meñ mausīqī jaisī taal
sāḌhe saat aur pañdrah kā chakkar
ab to ghar se bāhar jaane do
chipak gayā hai khiḌkī par manzar
uryānī kī baat nahīñ is meñ
phūloñ ko dāman kī kahāñ ḳhabar
afsāna to nahīñ hayāt mirī
ek ġhazal thī jis kā pair na sar
is ummīd meñ ghaas pe leTā huuñ
koī sitārā degā terī ḳhabar
apne paap to dho Daale ham ne
kaise dho.eñ paanī kī chādar
ḳhvāboñ meñ shatranj ke chau-ḳhāne
binā zor ke paidal jaa.e kidhar
jab dekhā ki ḳhair nahīñ milnī
chhoḌ diyā ummīd ne merā dar
kār-e-duniyā se kyā paanā hai
ret bharī hai miTTī ke andar
kaaTā to donoñ mar jā.eñge
juḌe hue bachche haiñ ḳhair aur shar
Top Urdushayar.com