sabhī rāste tire naam ke sabhī fāsle tire naam ke
kabhī mil mujhe mirī soch ke sabhī dā.ere tire naam ke
mire kaam ke to nahīñ haiñ ye ye jo mere lāt-o-manāt haiñ
ye mujhe aziiz haiñ is liye ki haiñ silsile tire naam ke
maiñ sharāb piitā to kis tarah mujhe tere hukm kā paas thā
magar aaj saaqī ne jab diye mujhe vāste tire naam ke
koī mimbaroñ pe hai mo'tabar koī sar-kashīda hai daar par
vo sahūlateñ tire zikr kī ye mujāhide tire naam ke
yahāñ jo bhī thā vo tujhī se thā yahāñ jo bhī hai vo tujhī se hai
sabhī aks haiñ tirī zaat ke sabhī rañg the tire naam ke
abhī maiñ ne zulmat-e-shab kī samt nigāh Daalī thī ġhaur se
ki kisī ne dil kī muñDer par diye rakh diye tire naam ke