kisī banjar taḳhayyul par kisī be-āb rishte meñ
zarā Thahre to patthar ban ga.e ahbāb raste meñ
sarāboñ kī galī hai yā tire gaañv kā konā hai
lagā hai ḳhaak par shīshe kā ik tālāb raste meñ
abhī kuchh der pahle paañv ke nīche na the bādal
abhī phailā ga.ī haiñ terī āñkheñ ḳhvāb raste meñ
mirī tayyāriyāñ mere safar meñ ho ga.iiñ haa.il
kabhī ta.avīz baazū par kabhī mehrāb raste meñ
samundar apne markaz meñ khiñchā hai merī āñkhoñ kā
so ab mumkin nahīñ hai roknā sailāb raste meñ
maiñ kaafī der pahle jis ko ghar meñ chhoḌ aayā thā
khaḌā hai muñh phulā.e ab vahī mahtāb raste meñ
safar āsāñ nahīñ hotā kamar pe laad kar duniyā
chale to rafta rafta rah gayā asbāb raste meñ
ham aise rāh-rau the koī bhī manzil na ho jin kī
safīne aarzū ke ho ga.e ġharqāb raste meñ