jab āftāb se chehrā chhupā rahī thī havā
nazar bachā ke tire shahr jā rahī thī havā
maiñ us ko rotā huā dekhtā rahā chup-chāp
chamelī ghaas pe Tap Tap girā rahī thī havā
vo maañ hai āb-e-ravāñ kī tabhī samundar ko
uThā ke god meñ jhūlā jhulā rahī thī havā
vo ḳhvāb thā yā safar aane vaale mausam kā
marī paḌī thī zamīñ zahr khā rahī thī havā
na-jāne dosh pe kis ko uThā ke raat ga.e
tabīb-e-shahr kā dar khaTkhaTā rahī thī havā
maiñ garm-o-sard ko taqdīr samjhe baiThā rahā
nizām-e-mausam-e-hastī chalā rahī thī havā
tamām umar maiñ samjhā havā muḳhālif hai
mire charāġh meñ ḳhud ko jalā rahī thī havā