raushan ā.īnoñ meñ jhūTe aks utaar gayā
kaisā ḳhvāb thā merī saarī umr guzār gayā
vaqt kī āñkhoñ meñ dekhī kaalī ghanghor ghaTā
lekin gaz bhar chhāñv nahīñ thī jab maiñ paar gayā
maiñ kyuuñ arz-e-tamannā le kar us dar par jā.ūñ
mauj-e-bād-e-sabā ke pīchhe kab gulzār gayā
is duniyā meñ be-qadroñ se kis ne paayā faiz
us ke pyaar meñ jiinā marnā sab bekār gayā
ab sunsān galī meñ saaya tak maujūd nahīñ
aadhī raat ke sannāTe meñ kaun pukār gayā
chehroñ ko pairoñ se kuchal kar aage baḌh jaanā
jiit isī ko kahte haiñ to phir maiñ haar gayā