har kisī ḳhvāb ke chehre pe likhūñ naam tirā
maiñ use apnā hunar samjhūñ ki in.aam tirā
titliyāñ phuul meñ kyā DhūñDhtī rahtī haiñ sadā
kyā kaheñ bād-e-sabā rakh ga.ī paiġhām tirā
jis tarah rañg-e-shafaq jhiil meñ ghul jaatā hai
aks-e-lab aise utartā hai tah-e-jām tirā
raat aa.egī to dikhlā.egā kuchh aur hī rañg
vo jo din bhar to parāyā lagā aur shaam tirā
faqat is soch meñ haath uThte nahīñ vaqt-e-duā
maiñ bhalā kis tarah samjhā.ūñ tujhe kaam tirā
tāqche gosha-e-dil fikr-o-amal chhān chuke
kisī hālat meñ bhī miltā nahīñ islām tirā
sham.a bujhtī hai to duniyā meñ sahar hotī hai
ai suḳhan-var tirā āġhāz hai anjām tirā