Shahnawaz Zaidi

dil bhi dagh-e-naqsh-e-kuhan se bujha hua tha

Shahnawaz Zaidi

dil bhī dāġh-e-naqsh-e-kuhan se bujhā huā thā
chāñd ke gird bhī ik haala sā banā huā thā
us ko ek ġhazal pahuñchānī thī jaldī meñ
lekin raste meñ sannāTā khaḌā huā thā
sho.ala chuum ke rakkhe us ne saañs diye meñ
maiñ ne jhuk kar dekhā kājal bahā huā thā
chhat se chehre par girte hī rahe sitāre
āsmān kā ḳhema thoḌā phaTā huā thā
bastī se nikle haiñ kuchh miTTī ke khilaune
insānoñ kā nām-o-nishāñ tak miTā huā thā
haath bāñdh kar mere saare adū khaḌe the
lekin maiñ apnī taḳhrīb pe tulā huā thā
mushk bharī hai maiñ ne donoñ hāthoñ kaTā kar
sochoñ ke paanī par pahra lagā huā thā
us kī āñkheñ bhī kuchh roī roī sī thiiñ
aur maiñ bhī us shaam bahut hī thakā huā thā
bhiig rahā thā sabza os ke motī pahne
sūkhā bādal kuñ.eñ ke andar girā huā thā
bachcha ik pahiye ko le kar bhaag rahā thā
vaqt jhukī dīvār ke uupar bahā huā thā
shāh-rāhoñ par ukhḌe ukhḌe saañs paḌe the
dariyā bhārī shahr ke nīche dabā huā thā
siine se sāñsoñ kā rishta TuuT chukā thā
qaidī ke pairoñ kā taalā khulā huā thā
Top Urdushayar.com