mire ḳhudā koī chhāñv koī zamīñ koī ghar
hamāre jaisoñ kī qismat meñ kyuuñ nahīñ koī ghar
ai be-niyāz batā hashr kab muayyan hai
bahut larazne lagā hai tah-e-jabīñ koī ghar
kamar pe laad ke chalte rahoge tanhā.ī
tamām umr milegā nahīñ kahīñ koī ghar
makān banñe se koī jagah bachī hī nahīñ
huā to kartā thā pahle kahīñ kahīñ koī ghar
koī azaab thā jo saarā shahr le Duubā
ki chhoḌte haiñ bhalā is tarah makīñ koī ghar