shikast-e-shīsha-e-dil kī davā maiñ kyā kartā
tire alāva koī dūsrā maiñ kyā kartā
maiñ ġhota-zan thā tirī yaad ke samundar meñ
libās uThā ke koī le gayā maiñ kyā kartā
kisī ke jaam kī jhūTī sharāb kyuuñ piitā
tumhāre husn kī qātil adā maiñ kyā kartā
maiñ jab chalā mirī manzil bhī chal paḌī aage
hamārā kam na huā fāsla maiñ kyā kartā
har ek chiiz agar tere iḳhtiyār meñ hai
to maiñ ne hone diyā jo huā maiñ kyā kartā
hayāt-e-nau ke jazīre pe roknī paḌī naav
muḳhālifat pe tulī thī havā maiñ kyā kartā
mirī sarisht meñ inkār rakh diyā tū ne
to hukm māntā kaise bhalā maiñ kyā kartā
ye dil to ek zamāne se intizār meñ thā
tū aa ke baiThtā phir dekhtā maiñ kyā kartā
mirā to jo bhī thā sab kuchh tirā diyā huā thā
mire karīm tirā shukriya maiñ kyā kartā