Shahnawaz Zaidi

teri taKHliq tera rang hawala tha mera

Shahnawaz Zaidi

terī taḳhlīq tirā rañg havāla thā mirā
kaun kahtā hai ki andāz nirālā thā mirā
maiñ jahāñ par thā vahīñ tū thā mire ā.īna-gar
terī tasvīroñ se bharpūr risāla thā mirā
chāhtā thā maiñ duā māñgtā par kyā kartā
mere hāthoñ meñ to labrez piyāla thā mirā
mujhe pahle ka.ī sadiyoñ kī sazā kāTnā thī
manzil-e-sub.h se kuchh duur ujālā thā mirā
maiñ use bhuul gayā taaki use yaad na aa.uuñ
kitnā mahbūb mujhe bhūlne vaalā thā mirā
huuñ tahī-dast magar minnat-e-kashkol nahīñ
mohr-e-taskīn mujhe haath kā chhālā thā mirā
zahr piite hue ḳhāmosh hī rahnā thā mujhe
shāḳh-e-taslīm se gul-posh piyāla thā mirā
dūsrī zindagī dene kī zarūrat hī na thī
har na.ī shakl kī sūrat meñ izāla thā mirā
ye jo duniyā meñ sar-e-mauj-e-havā likkhā hai
mere yāroñ ne kabhī naam uchhālā thā mirā
Top Urdushayar.com