mujh aise shaḳhs kī hājat-ravā.ī karte hue
bhaTak gayā thā vo kār-e-ḳhudā.ī karte hue
ki bātoñ bātoñ meñ manzil se duur le gayā thā
vo nā-ḳhudā-e-suḳhan rahnumā.ī karte hue
abhī hai vaise kā vaisā hī haal andar kā
ki umr Dhal ga.ī dil kī safā.ī karte hue
nisāb-e-ishq abhī tak hai māvarā-e-ḳhirad
ki tiis saal hue haiñ paḌhā.ī karte hue
halāl luqma khilānā hai apne bachchoñ ko
hamesha soch ye rakkhī kamā.ī karte hue
vo khel baiThā mohabbat se phir mohabbat ne
javābī vaar kiyā kāravā.ī karte hue
na koī dukh kā ta.assur na thī pashemānī
malāl tak na huā bevafā.ī karte hue
diyā palaT ke sahārā sisaktī beTī ne
ki baap girne lagā thā vidā.ī karte hue
taḌap ke rakh diye āñkhoñ pe merī haath us ne
maiñ zaḳhm dekh rahā thā silā.ī karte hue
jo mo'atabar gine jaate the vo bhī paa.e ga.e
ġhalat jagah pe ġhalat ham-navā.ī karte hue
ḳhulūs raas na aayā 'umar' ki jo bhī milā
daġhā hī detā gayā bhaa.ī bhaa.ī karte hue