Iqbal Naved

ye zamin hum ko mili bahte hue pani ke sath

Iqbal Naved

ye zamīñ ham ko milī bahte hue paanī ke saath
ik samundar paar karnā hai isī kashtī ke saath
umr yūñhī to nahīñ kaTtī bagūloñ kī tarah
ḳhaak uḌne ke liye majbūr hai āñdhī ke saath
jaane kis ummīd par huuñ ābyārī meñ magan
ek pattā bhī nahīñ sūkhī huī Tahnī ke saath
maiñ abhī tak rizq chunñe meñ yahāñ masrūf huuñ
lauT jaate haiñ parinde shaam kī surḳhī ke saath
pheñk de bāhar kī jānib apne andar kī ghuTan
apnī āñkhoñ ko lagā de ghar kī har khiḌkī ke saath
jaan jā saktī hai ḳhushbū ke ta.āqub meñ 'naved'
saañp bhī hotā hai aksar raat kī raanī ke saath
Top Urdushayar.com