Iqbal Naved

doston ke hu-ba-hu paikar ka andaza laga

Iqbal Naved

dostoñ ke hū-ba-hū paikar kā andāza lagā
ek patthar ke badan par kāñch kā chehra lagā
dekhne vaalī nigāhoñ meñ agar taz.hīk hai
kaun kahtā thā bhare bāzār meñ mela lagā
ḳhvāhishoñ ke peḌ se girte hue patte na chun
zindagī ke sehn meñ ummīd kā paudā lagā
tere andar kī ḳhizāñ māyūs kar degī tujhe
khiḌkiyoñ meñ phuul rakh dīvār par sabza lagā
vaqt har dukh kā masīhā ho nahīñ saktā 'naved'
zaḳhm apne dil pe mat ehsās kā gahrā lagā
Top Urdushayar.com