Iqbal Naved

agarche par kaghaz ki kabhi kashti nahin jati

Iqbal Naved

agarche paar kāġhaz kī kabhī kashtī nahīñ jaatī
magar apnī ye majbūrī ki ḳhush-fahmī nahīñ jaatī
ḳhudā jaane girebāñ kis ke haiñ aur haath kis ke haiñ
añdhere meñ kisī kī shakl pahchānī nahīñ jaatī
mirī ḳhvāhish hai duniyā ko bhī apne saath le aa.uuñ
bulandī kī taraf lekin kabhī pastī nahīñ jaatī
ḳhayāloñ meñ hamesha us ġhazal ko gungunātā huuñ
ki jo kāġhaz ke chehre par kabhī likkhī nahīñ jaatī
vahī raste vahī raunaq vahī haiñ aam se chehre
'naved' āñkhoñ kī lekin phir bhī hairānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com