Iqbal Naved

raat bhar koi na darwaza khula

Iqbal Naved

raat bhar koī na darvāza khulā
dastakeñ detī rahī pāgal havā
vaqt bhī pahchān se munkir rahā
dhund meñ lipTā rahā ye ā.īnā
koī bhī ḳhvāhish na puurī ho sakī
rāste meñ luT gayā ye qāfilā
vo parinda huuñ jise hote hī shaam
bhuul jaa.e apne ghar kā rāstā
ham-safar sab ajnabī hote ga.e
jaise jaise rāsta kaTtā gayā
ham kināre aa lage thak kar 'naved'
aur dariyā umr bhar chaltā rahā
Top Urdushayar.com