aabid umar

bura hi kya tha jo aap apni misal hote kamal hote

aabid umar

Kasur, Punjab, Pakistan

1977
burā hī kyā thā jo aap apnī misāl hote kamāl hote
kisī tarah se jo TuuTe rishte bahāl hote kamāl hote
ye lailā majnūñ ye hiir rāñjhā ye shīrīñ farhād kī mohabbat
thī aisī shiddat kahīñ jo un ke visāl hote kamāl hote
paḌhā nahīñ thā nisāb-e-ulfat amal meñ aage the har kisī se
samajhtī duniyā agar hameñ be-misāl hote kamāl hote
vo mujh se miltā ḳhamosh rahtā ḳhamoshiyoñ par hī daad paatā
magar jo nazroñ se munfarid se savāl hote kamāl hote
ye kyā ki tanhā.iyoñ se rishta banā ke ḳhud ko gañvā liyā hai
samā ke mujh meñ jo aap merā jamāl hote kamāl hote
jise bhī dekhā usī ko da.avā-e-husn karte sunā gayā hai
jahān bhar meñ hasīñ agar ḳhāl-ḳhāl hote kamāl hote
nasīb apnā suḳhnavaroñ meñ hamārī gintī na ho sakegī
'umar' adākār ham agar bā-kamāl hote kamāl hote
Top Urdushayar.com