haiñ dil meñ dard magar kyoñ bayāñ nahīñ hotā
ki koī itnā bhī to be-zabāñ nahīñ hotā
hisāb kaise kare koī ishq-o-ulfat meñ
diloñ ke saude meñ sūd-o-ziyāñ nahīñ hotā
kabhī talāsh hī letā maiñ manzileñ apnī
jo rāstoñ pe ġhamoñ kā dhuāñ nahīñ hotā
ye barg-e-zard daraḳhtoñ se jhaḌ ga.e kaise
ḳhudāyā kaash ye daur-e-ḳhizāñ nahīñ hotā
jidhar bhī dekho samundar yahāñ ġhamoñ kā hai
agar yahī hai jahāñ to jahāñ nahīñ hotā