bas vahī vo dikhā.ī dete haiñ
ek ke do dikhā.ī dete haiñ
jitne harjā.ī ham ne dekhe haiñ
utne kis ko dikhā.ī dete haiñ
vo yahāñ haiñ nahīñ pata hai hameñ
phir bhī ham ko dikhā.ī dete haiñ
dil ko bahlānā hī to maqsad hai
farz kar lo dikhā.ī dete haiñ
jaise ham tum ko saaf dekhte haiñ
vaise tum ko dikhā.ī dete haiñ
tāb-e-nazzāra baaqī hai ki ga.ī
aur dekho dikhā.ī dete haiñ
jo zamāne ko dekhte bhī nahīñ
vo unhīñ ko dikhā.ī dete haiñ
sher paḌhte haiñ aap jab 'vāsif'
dāstāñ-go dikhā.ī dete haiñ