Soz Najeebabadi

kabhi juda do badan hue to dilon pe ye do azab utre

Soz Najeebabadi

kabhī judā do badan hue to diloñ pe ye do azaab utre
bichhaḌne vaale kī yaad aa.ī milan ke āñkhoñ meñ ḳhvāb utre
baḌhī hai fikr-e-ma.āsh jab se mire ḳhayāloñ kī vādiyoñ meñ
na us ke chehre kā chāñd ubhrā na ārizoñ ke gulāb utre
ulajh gayā zindagī ke kāñTe meñ ittifāqan hamārā dāman
zamīñ ke gole pe sair karne ko ham jo ḳhāna-ḳharāb utre
jinhoñ ne māñgī unheñ to dī hī ga.ī jahāñ meñ ḳhushī kī daulat
baġhair māñge bhī kāhiloñ par falak se ġham be-hisāb utre
chalī jo āñdhī to har kalī ne jhukā ke sar ko ye iltijā kī
chaman ke mālik hamāre ruḳh se abhī na rañg-e-shabāb utre
Top Urdushayar.com