varaq vahī thā magar dūsrī parat chāhī
ki maiñ ne us kī mohabbat se manfa.at chāhī
mazā ajab thā mohabbat bharī laḌā.ī meñ
ki chheḌ kar use faurī muzāhimat chāhī
bichhaḌte vaqt use muḌ ke bhī nahīñ dekhā
tamām umr judā.ī meñ āfiyat chāhī
maiñ aur hī thā judā hī thā is zamāne se
aur us ne qais ke jaisī mutābaqat chāhī
ḳhud apnī ziist ko barbād kar liyā āḳhir
ki jis ne mujh se zarā bhī munāfiqat chāhī
na jaane kyoñ mujhe Thukrā diyā zamāne ne
na sīm-o-zar kī talab kī na saltanat chāhī
bas ek baar mujhe khol kar paḌhā 'ābid'
phir us ne merī mohabbat se ma.azarat chāhī