Soz Najeebabadi

bahte pani ki tarah mauj-e-sada ki surat

Soz Najeebabadi

bahte paanī kī tarah mauj-e-sadā kī sūrat
sū-e-manzil haiñ ravāñ log havā kī sūrat
jāda-e-zīst pe insān ke aage pīchhe
hādse ghūmte rahte haiñ qazā kī sūrat
dard ko dil ke miTāne ke liye maiñ ab to
roz letā huuñ tirā naam davā kī sūrat
yaad rakh dahr kī dīvār ke ha.Tne par hī
dekh saktī hai koī aañkh ḳhudā kī sūrat
hashr ke roz se pahle bhī to maiñ dāvar-e-hashr
zindagī kaaT ke aayā huuñ sazā kī sūrat
khoj is daur-e-ḳharābī meñ koī ḳhūbī 'soz'
nasl-e-ādam ke liye koī baqā kī sūrat
Top Urdushayar.com