rahbar-e-jāda-e-manzil pe hañsī aatī hai
laḌkhaḌāte hue is dil pe hañsī aatī hai
hasrat-e-qurbat-e-manzil pe hañsī aatī hai
ab to dīvāngī-e-dil pe hañsī aatī hai
yaad kar ke tirī sūrat tirī bāteñ akasr
yuuñ taḌaptā hai ki is dil pe hañsī aatī hai
umr gum kar ke farāham kiyā sāmān-e-hayāt
ab mujhe ziist ke hāsil pe hañsī aatī hai
qulzum-e-ġham meñ to hote haiñ kināre bhī bhañvar
jab ye suntā huuñ to sāhil pe hañsī aatī hai
jagmagātā hai jo sūraj kī shuāoñ ke tufail
is bhikārī mah-e-kāmil pe hañsī aatī hai
'soz' har lamha vahī maslahat-e-vaqt kī baat
sun ke dīvāne ko aaqil pe hañsī aatī hai