sar ko bachāte yā dar-o-dīvār bechte
sar kī hifāzatoñ meñ kyā dastār bechte
shohrat ke mol ḳhuub lage shahr meñ magar
ham mohtaram kahāñ the jo kirdār bechte
is kāñptī zamīn ne sab ḳhaak kar diyā
varna ham ārzuoñ ke mīnār bechte
hotā jo iḳhtiyār mire haath meñ to phir
baste ḳharīd laate ye hathiyār bechte
qānūn ko jo 'sīmā' samajh lete aaj ham
to bhuuk aur jahl ke āzār bechte