Ishrat moin Seemaa

maine KHud pinjre ki khiDki kholi hai

Ishrat moin Seemaa

maiñ ne ḳhud pinjre kī khiḌkī kholī hai
chiḌiyā apne aap kahāñ kuchh bolī hai
sūraj ne jañgal meñ Dere Daale haiñ
patjhaḌ ne bhī khelī āñkh-micholī hai
yuuñ bāheñ phailā.e miltī hai aa kar
bārish jaise miTTī kī ham-jolī hai
haa.e tashaḳhḳhus kī maarī is duniyā meñ
sab kī apnī riitī apnī bolī hai
diip jalā.e rasta taktī rahtī huuñ
vo aa.e to iid divālī holī hai
us kā lahja raat kī raanī ke jaisā
uf us ne ye kaisī ḳhushbū gholī hai
kaisī girānī hai izzat kī roTī meñ
is se sastī ik bandūq kī golī hai
pūchh rahī hai apnī maañ se ik beTī
byaah ke ma.anī zevar lahñgā cholī hai
kab se le kar aas karam kī yā-allāh
tere dar pe apnī phailī jholī hai
ḳhud-ġharzī ke daur meñ 'sīmā' rishtoñ se
ummīdeñ rakhtī hai kitnī bholī hai
Top Urdushayar.com