Ishrat moin Seemaa

agar roun to meri aankh aksar nam nahin hoti

Ishrat moin Seemaa

agar ro.uuñ to merī aañkh aksar nam nahīñ hotī
agar hañsne lagūñ phir bhī udāsī kam nahīñ hotī
kabhī yādeñ mahaktī haiñ sitāre raqs karte haiñ
shab-e-hijrāñ hamesha hī dalī-e-ġham nahīñ hotī
maiñ dekhūñgī zarā fursat se apne aks-e-ḳhākī ko
abhī terī ziyā hī aañkh meñ hamdam nahīñ hotī
baḌī lambī masāfat hai hadīs-e-dil hai ik misra
azīzo shā.irī hargiz kabhī yak dam nahīñ hotī
bhalā kaise samajhtī ishq meñ jaañ se guzarne ko
tirī chāhat meñ jo dar-pesh rāh-e-ḳham nahīñ hotī
pukārūñ to chale aanā pakaḌ kar yaad kī Dorī
mohabbat meñ to majbūrī mire hamdam nahīñ hotī
ye dil ab rakh diyā hai vaqt kī Thokar pe ai 'sīmā'
ki is kambaḳht dil kī aarzū hī kam nahīñ hotī
Top Urdushayar.com