haath thāme chal paḌā hai qāfila ummīd kā
har galī kūche meñ barpā jashn jaise iid kā
sun ke aahaT dauḌtā hai jism meñ aise lahū
dekh kar aayā ho bālak chāñd jaise iid kā
saañs thāme muntazir huuñ kam suḳhan ke lab hileñ
ḳhatm ho ye silsila ḳhāmosh ik tamhīd kā
maut se va.ada nibhānā siikh le tū zindagī
umr bhar rakkhā hai tū ne muntazir ik diid kā
yuuñ ta.alluq hai hamārī dhaḌkanoñ kā aap se
dil ke sahrāoñ meñ bādal ho koī ummīd kā
pesh-e-jāñ 'sīmā' kā nazrāna ho gar us ko qubūl
muntazir hai dil hamārā aap kī tā.īd kā